Corona virus ke badhte kahar se 6 hafte se suru lockdown jo 3 may ko khatm
hone wala tha use 2 weak ke liye aur extend kar diya gaya hai.
India me lockdown ki ghoshana 24 march ko Pradhan
Mantri Narendra Modi ji ne ki thi jise pahle 21 din ke liye kiya gaya tha jise
badha kar 14 April ko lockdown 2 ke roop me 3 may tak badhya gaya tha iske baad
kendra sarkar ne corona ke badhte cases ko dekhkar lockdown 3.0 ka faisla kiya jise
2 hafte yani 14 may tak phir badhaya gaya hai.
Lockdown 3.0, lockdown ke tesre charan me up
sarkar ne kendra sarkaar ke guidelines ke hisab se kuch riyayto ke sath
lockdown me chuth di gayi hai.
Lockdown 3.0 |
Lockdown badhane ka ya faisla Kendra Sarkaar
ne corona ke badhte sankraman ko dekhte huye liya hai, bata de ki ab tak desh
bhar me Corona ke confirmed cases 46433* hai aur 12727* marijo ko ilaaj ke baad
thik kar diya gaya inme se 1568* log corona se jung haar gaye.
(* - Ye ankade blog likhe jane tak ka hai)
Green Zone : Kendriya Swastha Mantralaya (MHA)
ke mutabik jin ilako me 21 din tak koi
bhi mamla samne nhi aaya hai use green zone me rakha gaya hai. Up ke 20 jilo ko
orange zone me rakha gya hai.
Green Zone |
Red zone : Kendriya Swastha Mantralaya (MHA) ke mutabik jin jilo me corona virus ke cases har roj badhte jaa rahe hai tatha jin ilako me hotspot ki sankhya badhti ja rahi hai unhe red zone me rakha gya hai. Up ke 19 jilo ko orange zone me rakha gya hai.
Red Zone |
Orange Zone : Kendriya Swastha Mantralaya(MHA)
ke mutabik jin jilo me 14 dino se koi naya case nhi aya use orange zone me
rakha gaya hai. Up ke 36 jilo ko orange zone me rakha gya hai.
Orange Zone |
Uttar Pradesh Sarkar ne Sunday ko apne taza bayan me bataya ki, 5
jilo ke Jila Adhikari (DM) ke anusar lockdown me milne wali riyayto ko nhi mana
jayega tatha pahle se jaari niyamo ke hisab se shahr me jaruri cheje hi khuli
rahengi in 5 shahro me Lucknow, Kanpur, Meerut, Agra, Basti shamil hai.
In jilo ke wo muhalle jaha corona ke mareej mile hai wo poori
tarah se seal honge tatha anya muhhale khule rahenge lekin lockdown 3.0 ki koi
riyayte nhi di jayegi.
Note:
Corona (COVID-19) ka ye virus mukhya roop se
ek sankramit insaan ke khansne, chheenkne ya bahr nikalane pr unke sampark me
aane ya unse baat karne pr niklne wali boondo ke madhyam se dusre insaan me
failta hai. Ye boonde(he smallest particles are 0.06 microns, and the largest
are 0.14 microns) bhari hone ke karan hawa mein jyada ghanto ke liye nhi rah
sakti hai aur jaldi hi niche gir jaati hai jinse ye virus rakhi huyi chejo pr asani se gir jati hai .
No comments:
Post a Comment