Corona virus ke chalte lockdown se 25 march ko ruke train ke pahiyo ko phir se chalne ki azadi mil gayi hai kuch bandhisho ke sath ye special traine chalayi jayegi, in special traino ka kiraya rajdhani express ki jitna hi rakha gaya hai. 10 may ko rail mantralay ki taraf se jo press release jaari kiya gaya unse desh bhar me fase pravasi majdoor, students ke chehre par khusi ki lahar daud gayi. Pr in traino ka kiraya rajdhani express ki tarz pr rakha gaya hai to roj majduri karne wale majdoor jo 2 mahine se fase huye hai unke liye kiraye ke paise jodna bhi ek chunauti shabit hogi. Rajdhani Express ke tickets ki range lagbhag 2500 se 5000 tak hoti hai.
Suruwat me
15 jodi traine (up and down, 30)chalayi jayegi, ye saari traine new delhi se
chalegi.
New delhi se
chalne wale 15 special traine Dibrugarh(Assam), Agartala(Tripura), Howrah(West
Bengal), Patna(Bihar), Bilaspur(Chattisgarh), Ranchi(Jharkhand),
Bhubaneswar(Odhisha), Secunderabad, Bengaluru(Karnataka), Chennai( Tamil Nadu),
Thiruvananthapuram(Kerala), Madgaon(Goa), Mumbai Central(Maharashtra),
Ahmedabad (Gujarat) and Jammu Tawi. Ye saari 15 traine rajdhani express ke
route pr hi chalaya jayega.
Adhikariyo ke hawale se ye Specail Traine Shramiko ke liye chalayi ja rahi traino jinme 72 yatriyo ke capacity wale dibbo me 54 yatri hai baithte hai unse ulat in special traino me poori capacity se yatra kar sakte hai. Halaki kirayat me koi riyayat nhi di jayegi. Bata de ki pahle se chalayi jaa rahi special shramik train sabhi rajya sarkaro ke anurodh se aisi hi chalti rahegi.
Rail
mantralay ne ye saaf kiya ki rail me yatra unhe hi karne ko milega jinka ticket
confirm hoga .Rail seva pr yatra karne wale yatriyo ko mask pahnana aur apne
muh ko dhakna jaruri kar diya gaya hai. Iske saath hi bharat sarkar dwara
banawa gaya AROGYA SETU app ke istemal ki jankari jyada se jyada logo tak
pahuchaya jayega. Sabhi yatriyo ki
station pr hi sanitizer ka use karna hoga aur screening kakrke proper
check kiya jayega aur unhi yatriyo ko yatra karne ki anumati di jayegi to
swasth honge ya jinme corona virus ke
tha unme home quarantine ka shakti se palan karna hogo. Yatriyo ko yatra
ke 90 minut pahle station pa pahuchna padega taaki unki thermal screening ki ja
sake.
In special
traino ka kiraya to rajdhani express ki tarah hi hoga pr rajhdhani express ki
koi bhi suvidha jaise paani, khana, chadar aur anya dusri suvidhaye jo milti
hai wo corona virus ke prasar ko rokne ke maddenazar nhi di jayegi. Dibbo ke
andr air conditioning ke liye jaruri mapdandh honge, tapman samanya se toda
adhik rakha jayega kewal taazi hawa ki adhiktam apurti pr dhyan diya jayega.
Yatriyo se
anurodh hai ki pine ka paani aur yatra ke dauran kuch khane ki cheje khud hi
laaye ye kadam corona virus ko failne se rokne ke liye kiya gya hai.
Yatra ke dauran demand pr garm paani di jayegi lekin uske liye aapke uski kimat deni padegi.
Bhatiya Rail,
Rajya Sarkaro ke anurodh pr pravasi majdoor ko unke ghar bhejne ke liye ab tak 500
se jyda shramik special train chala chuki hai aur aage bhi chalati rahegi.
Inn trains me tickets ke liye booking 11 may ko sham ko 4 baje se suru hogi filhaal abhi
20 may tak reservation kar sakte hai, tickets ki booking kewal irctc ki website
(https://www.irctc.co.in/) pr hogi. Railway station pr ticket booking counter
band honge aur koi plateform ticket bhi jaari nhi kiya jayega sirf conficm
ticket wale yatriyo ko hi railway station me pravesh ki anumati di jayegi.
pls contact for online train tickets
Whatsapp Number- 8299190526
No comments:
Post a Comment