Monday, April 6, 2020

Ramayan Me Urmila Nidra Ki Katha Jo Aapne Nhi Suni Hogi


Shree Ramayan ko aajtak humne aur is samaj ne shree Ram ki drastikone se dekha. Laxman ko dekha devi Sita ko jana. Hanuman ke bhakti bhav ko jana Rawan ke ghyaan ko pahchana lekin kabhi yah nhi dhyan diya ki iss Ramayan me agar koi sabse adhik upechit aur andekha patra tha to wah Laxman ki patni aur janak ki choti beti Urmila thi, jo Sita ki choti bahn thi.
Urmila hindu mahakavya Ramayan me ek patra hai. Wah Jankpur ke raja Janak ki beti thi, aur unki mata rani Sunaina thi. Sita unki badi bahan thi . Wah ram ke chote bhai Laxman ki patni thi. Laxman, Sumitra ke putra aur Shatrughan ke judwe bhai the. Laxman aur Urmila ke do putra the jinka naam Angad aur Chandraketu tha. Angad ne angadiya puri tatha  Chandraketu ne chandrakant puri ki sthapna ki thi.




Pati Ke Liye Pita Ko Kiya Inkaar
Janak apni putrid ko mayake arthat mithila le jana chahte the, taaki maa aur sakhiya ke sanindhya me urmila ka pati viyog ka dukh kuch kam ho sake parantu urmila ne mithila jaane se sadar inkaar kar diya, yah kahte huye ki ab pati ke parijano ke saath rahna aur dukh me unka sath na chodna hi ab uska dharma hai.

URMILA NIDRA:
Batate hai ki vanvaas ki pahli raat me jab bhagwaan ram aur devi sita kutiya me vishraam karne chale gaye to laxman kutiya ke bahr ek prahari ke rup me pahra de rahe the. Tabhi unke paas nidra rani prakt huyi thi. Laxman ne nidra devi se yah vardaan manga tha ki unhe 14 varsho tah nidra se muqk kar de to nidra devi ne unki is ichaa ko swikar karte huye yah kaha tha ki unke hisse ki nind ko kisi na kisi ko lena hi hoga. Yab laxman ne nidra devi se vinti kit thi ki unke hisse ki nind ko unki patni urmila ko de diya jaaye . kaha jata hai ki nidra devi ke iss vardaan ke karan laxman ki patni lagatar 14 varsho tak soti rahi aur laxman jagte rahe.

Aseem pati vrata thi urmila ke us nay ke kandho pr itna bada dayitwa daal kar laxman chale gaye. Wah pal, wah jeewan sarita jo ki koi bhi nayi dulhan apne pati ke sath gujarati hai, wah urmila ke naseeb ,me nhi likhi thi. Pativrata stree ke jeewan ke chanchal padaaw pr bhi apne pati se dur rahne pr bhi leshmatra bhi kisi aur ka dhyan nhi kiya.
Sabse vikat chadho me bhi urmila anshoo na baha saki kyuki unke pati laxman ne unse ek aur vachan liya tha ki wah kabhi anshoo na bahayengi, kyuki agar wah apne dukh me dubi rahengi to parijano ka khyal nhi rakh payengi.

Yah koi kalpana kar sakta hai ki apne pati ko 14 varsho ke liye apne se door jaane dena aur uski bidaai pr aanshoo bhi na bahana kisi navvivahit ke liye kitna kastkaari ho sakta hai ?
Kitne dukh ka pal tha wo jab parm pujyaniye maharaj dashrath swarg sidhaar gaye, pr vachan ke samman rakhne ke liye urmila tab bhi na royi.

Ab aap soch me padh gaye honge ki nidra devi ke prabhaw me akar agr urmila 14 saal tak soti rahi, to saas aur anya parijan ki sewa karne ka laxman ko kiya wada unhone kaise poora kiya. To uttar yah hai ki sita mata ne apna ek vardaan urmila ko de diya tha. Us vardaan ke anusaar urmila ek saath teen kaarya kar sakti thi
Bahut se log iss baat se parichhet hai ki apne vanvaas ke dauraan bhaiya aur bhabhi ki sewa karne ke liye laxman poore 14 saal tak nhi sye the

Unke isthan pr unki patni urmila din raat soti rahi. Lekin bahut kam log jante hai ki raavan ke bĂȘte meghnath ko yah vardaan tha ki jo insaan 14 varsho tak na soya ho kewal wahi hara sakta thai. Isliye laxman meghnath ko mochh dilwane me kamyaab huye the. Raavan ko harakar aur 14 varsh ke vanvas ke baad jab raam , sita aur laxman waps ayodhya laute tab waha raam ke rajtilak ke samy laxman jor jor se hasne lage. Sabhi ko yah baat behad ashcharyajanak lagi ki kya laxman kisi ka majak udha rahe hai?
Jab laxman se is hansi ka karan pucha to unhone jo jawa diya ki yaumar unhone isi ghadi ka intaxar kiya hai lekine aaj jab yah ghadi aayi hai to unhe nidra devi ko diya gaya wo vachan poora karna hoga jo unhone vanvaas kaal ke dauraan 14 varsha ke liye unhe diya tha.

Laxman ne nhi dekha bhagwaan ram ka rajtilak, darasal nidra ne unse kaha tha ki wah 14 varsha ke liye unhe pareshan nhi karengi aur unki patni urmila unke isthaan pr soyengi. Nidra devi ne unki yah bat ek shart pr maani thi ki jaise hi wah ayodhya lautenge urmila ki nind toot jayegi aur unhe sona hoga.
Laxman is bat pr hans rahe the ki ab unhe sona hoga aur wah raam ka rajtilak nhi dekh payenge . unke isthaan pr urmila ne yah rasm dekhi thi.


Rajasthaan ke bharatpur district me laxman aur urmila ko samarpit mandir bhi hai.  


No comments:

Post a Comment