Bhale hi corrective lenses ya surgery ke
bina, ankh ki roshni ko poori trah se sudharne ka koi sidhh tarika maujood nhi
hai, lekin aise kayi saare tarike maujood hai, jo achhi roshani ke liye, aapki
aankho ki health ko bahtar karte hai. Healthy khana aur vitamin aur minerals ke
ache sources ka lena bhi aapke vision ke liye usefull hai.
Nazar kamjor hona aajkal ek samasya ki baat
hai. Iss samasya ko majboori maan lena samjhdari ki baat nhi hai kyuki sahi
khan paan ki madad se kamjor nazar ko thik kiya ja sakta hai.
Chasma lagane ka main
karan ankho ki thik se dekhbhal na karna, jaroori minrals ki kami ya anuvanshik
ho sakte hai. Lekin sahi khan paan se iss samasya ka samadhan bhi nikala jaa sakta
hai.
Janiye aisi hi kuch gharelu upaay jo ankho ki roshni badhane me aapki help karegi -:
· Pair ke talwo pr sarso ke tel ki malish karke soye. Subh ke samay nange pair hari ghas pr chale vah roj anulom vilom exercise kare. Kanpati par Gaay ke ghee ki halke hath se rojana kuch der masaaj karne pr aankho ki roshni badhti hai.
· Ek chane ki daane jitani fitkari (फिटकरी) ko senk kar 100 grm gulabjal me dalkar rakh le. Rojana raat ko sote samy is gulalbjal ki char panch bund aankho me dale. Sath hi pair ke talwo par ghee ki malish kare isse chasme ka number kam hona suru ho jayega.
· Awle (आंवले) ke paani se aankhe dhone se ya gulabjal dalne se ankhe swasth rahti hai.
· Badaam ki giri badi saunf aur mishri teeno ko saman matra me mila le. Roj is mixture ko ek chammach me ek glass dudh ke sath raat ko sote samy le.
· Aankho ke har prakar ke rogo jaise paani girna, aankhe aana , aankho ki durbalta aadi hone pr raat ko 8 badaam bhingo kar unhe pees kar paani me mila kar pine se ankhe swasth rahti hai.<script data-ad-client="ca-pub-8701951997121484" async src="https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
· Subah ke samay udhkar bina kulla kiye muh ki laar apni ankho me kajal ki tarah lagataar 6 mahine lagate rahne pr chasme ka number kam ho jata hai.
· Triphala (त्रिफला) churn ko ratri me paani me bhingo kar, subah chankar us paani se aankhe dhone se netrajyoti badhti hai.
Ankho Ki Roshni Badhayengi Ye 5 Exercise
Din bhar
computer par kaam ya der raat tak padhayi ke dauran ankhe sirf thak nhi jaati
hai balki stress ka asar unki roshni pr bhi pad sakti hai. Aise me agar apne
chehre ka charm mote chasme se nhi kharab karna chahte hai to kaam ke dauran ya
adhik stress lagne pr ye exercise jrur kare.
Relaxation Exercise
Ankho ko
adhik stress se rahat pahuchane ke liye yeh achaa exercise hai. Isee aap kabhi
bhi kar sakte hai, Iske liye sabse pahle dono haatho ko apas me ragde aur phir
tezi se ankho pr rakhe. Ankho ke age andhera rahna chahiye. Kuch der baad hatho
ko hata le aur phir dhere dhere ankhe khole.
Palke Jhapkaaye
Ankho pr der
tak rahne wale tanaw ko kam karne ke liye yah bahut asan exercise hai. Kam se
kam 3 se 4 second tak apni palko ko lagatar jhapkaye aur phir ankhe tezi se
band kar le. Kuch second baad ankhe khole. Aap
aram mahsoos karenge.
Dur Tak Dekhe
Iske liye aap
ek aisa target chune jo aapki nazar me sabse dur ho aur use dekhne ki koshish
kare. Kim se kam 5 se 10 Min tak yah exercise kare. Isse dur ki nazar majboot
hoti hai aur focus badhta hai.
8 No. Ki Kalpana Kare
Aankho ka
lachilapan badhane ke liye yah exercise hai. Apne samne kam se kam 10 feet ki
duri pr dhyan focus kare. Kalpana kare
ki samne 8 no. hai aur use lagatar dekhe. Is no. ki lakiro pr aankho ko
focus kare aur iske size ke adhar pr nazar ghumaye.
Jam Kare
Focus tez
karne ke liye yah achhi exercise hai. Apne anguthe pr focus kare. Dhere dhere
anghuthe ko ankho ke nazdik laye aur phir dhere dhere ise ankho se dur kare.
Note
Jab aap computer ke samne ho, tab 20/20/20 ke niyam ki practice kare.
20 min kaam karne
ke baad 20 second ka break lekar
kisi aisi cheej ko dekhe, jo aap se 20
feet dur ho. Iss tarah se aapki
aankhe phir se adjust ho sakti hai aur un par utna jyada jor nhi padega.
No comments:
Post a Comment